Breaking

Tuesday 12 May 2020

Mi 10 5G : Specification, Price, Availability and Comparison

Xiaomi ne India me abtk ka apna sbse mehnga smartphone launch kar diya hai, jo Xiaomi Mi 10 5G ek flagship smartphone hai. Iska price Rs. 49,999 se shuru hai. Ye smartphone do colour variant me available hai: Coral Green and Twilight Grey. Handset Glass, Aluminium alloy ka bana hai, jiska thickness 8.96mm aur weight 208 grams hai.

Mi 10

Display

Mi 10 5G me 6.67-inches ka curved AMOLED display hai 1080 x 2340 FHD+ ke sath. Iska screen ratio 19:5:9 aur screen to body ratio 92.4% hai. Company ne bataya ki iss display me Capacitive, Multi-touch, Scratch resistant, 3D curved glass screen, Corning Gorilla Glass 5, 5M:1 dynamic contrast ratio, 500 cd/m², Maximum brightness – 800 cd/m², Peak brightness – 1120 cd/m², 90Hz refresh rate, 180Hz touch sampling rate, 100% DCI-P3 shamil hai.

Camera


Mi 10 5G me quadruple rear camera setup hai. Jiska primary rear camera 108 MP aur secondary rear camera 13 MP (wide). Isme do aur lenses 2 MP macro aur 2 MP depth sensor. Ye Touch-to-focus, Phase Detection AF Autofocus technology ke sath aata hai. Rear camera ko LED flash flicker sensor ka support hai. Selfie ke liye isme 20 MP ka front camera maujood hai.

Hardware and Software

Mi 10 5G  Qualcomm® Snapdragon™ 865 SoC + X55 Modem se powered hai, jo ki 7nm manufacturing process par based hai. Isme Qualcomm Spectra 480 ISP, Qualcomm® Kryo™ 585, CPU frequency: Octa-core processor, up to 2.84GHz, GPU: Adreno™ 650 GPU, up to 587MHz, AIE: 5th generation AIE processor ka support bhi hai.


Mi 10 5G 8GB RAM aur 128GB/256GB internal storage capacity ke sath aata hai, jiske external storage ko hum badha bhi sakte hain. Ye device Android 10 aur MIUI 11 par kaam karta hai.
Security ke liye isme In-display fingerprint aur AI Face unlock ki suvidha hai.
Battery ke bare me baat karein to isme 4780mAh ka non-removable battery hai jo ek din aram se chal sakta hai. Isme 30W fast charging aur 30W wireless fast charging ka support milta hai. Yha 10W reverse wireless charging ka bhi fayda milta hai. Isme LiquidCooling 2.0 Vapour Chamber + 6 Stack Graphite Layer + Graphene technology use ki gyi hai.

Xiaomi Mi 10 5G Full Specifications

Xiaomi Mi 10 5G smartphone ke purey key specification niche table me:

BrandXiaomi
Specs Score79.16385
ChipsetQualcomm Snapdragon 865
RAM8GB
Internal storage capacity128, 256GB
Screen size6.67"
Resolution1080 x 2340
Rear Camera108MP +13MP + 2MP + 2MP
External StorageYes (by microSD card)
Front camera20 MP
CoolingLiquidCooling 2.0 Vapour Chamber
FingerprintIn-display fingerprint sensor.
Battery4780mAh
Display6.67-inches1080 x 2340pixels386 ppi FHD+
mi10

Xiaomi Mi 10 5G Price

Xiaomi Mi 10 5G 8GB + 128GB model ka launch price Rs. 49,999, jabki 8GB + 256GB model ka price Rs 54,999 hai. Ise aap Amazon ya mi.com se kharid sakte hain.

Comparison

Iss Flagship range me Android ke in phones ke bich comparison hai: Mi 10 vs OnePlus 8 vs iQOO 3 vs Realme X50 Pro
mi10-competitor


Visit regularly for such reviews and interesting comparisons...

No comments:

Post a Comment