Breaking

Wednesday 20 May 2020

Motorola Edge+ with Snapdragon 865 SoC and full specs | Moto Edge+ vs OnePlus 8 Pro vs Mi 10 full comparison


Motorola ne India me Motorola Edge+ naam se apna ek flagship phone launch kiya hai jiski keemat Rs. 74,999 se shuru hoti hai. Ye do colour Smokey Sangria aur Thunder Grey me available hai. Aluminium alloy aur glass se baney is phone ki thickness 9.6mm aur weight 203g hai.

Display

Motorola Edge+ me 6.7-inch ka AMOLED display hai jiska pixel resolution 1080 x 2340 hai. Iska aspect ratio 19:5:9 aur screen to body ratio 92.25% hai.
Isme scratch resistant 3D curved glass screen hai jisey Corning Gorilla Glass ka protection hai. Iss display ko 90 Hz refresh rate aur HDR10+ ka support bhi hai.

Camera

Motorola Edge+ ke Quad camera setup me 108MP ka primary rear camera aur 8MP ka secondary rear camera hai. Isme third lens 16MP ka wide-angle lens aur fourth lens TOF 3D sensor hai. Ye Touch-to-focus, Phase Detection AF, Laser AF Autofocus technology ke sath aata hai. Iske rear camera ko dual LED flash ka support milata hai.
Selfie ke liye 25MP ka front camera hai.

Hardware and Software

Motorola Edge+ ko Qualcomm Snapdragon 865 chipset se power milata hai, jo 8 Cores ke sath aata hai aur 2.84 GHz par clock karta hai.
Isme 12GB RAM ke sath 256GB ka internal storage milata hai. Jiska external storage aap microSD card se badha bhi saktey hain.
Ye Android 10 par kaam karta hai.
AMOLED screen honey ke naatey isme in display fingerprint milata hai.
Battery ke mamle me isey 5000mAh ki lambi battery milati hai jo asani se ek din chal sakti hai.
Charging ke liye isme 18W fast wired charging, 15W fast wireless charging aur 5W ka reverse charging ki suvidha milati hai.

Motorola Edge+ Full Specification

BrandMotorola
Specs Score81.31469
ChipsetQualcomm Snapdragon 865
RAM8GB
Internal storage capacity128, 256GB
Screen size6.67
Resolution1080 x 2340
Rear Camera108MP + 8MP (telephoto) + 16MP (wide) + 3D TOF (Depth)
External StorageYes
Front camera25MP
Capacity5000
FingerprintIn-display fingerprint sensor.
Battery5000mAh, 18W Fast Wired Charging, 15W Fast Wireless Charging, 5W Reverse Wireless Charging
Display6.67-inches 1080 x 2340 pixels 386 ppi

Pricing and Availability

Normally to Motorola Edge+ ka price Rs. 74,999 rakhi gayi hai. Par limited period ke sale ke liye ICICI credit card se Rs. 7,500 ka instant discount / cashback mil raha hai jis se iska effective price Rs. 67,499 ho jayega.
Motorola Edge+ ki pre-booking Flipkart aur leading offline stores se ho rahi hai. 26 May ko iskey Flipkart sale pe jaaney ki sambhavana hai.

Comparison

Motorola Edge+ vs OnePlus 8 Pro vs Mi 10 5G

  Motorola Edge+ OnePlus 8 Pro Mi 10 5G
Display  6.7" FHD+ Curved OLED 6.78" QHD+ AMOLED 6.67" FHD+ Curved OLED
Processor  Snapdragon 865 Snapdragon 865 Snapdragon 865
Rear Camera  108MP+16MP+8MP+ToF 48MP+48MP+8MP+5MP 108MP+13MP+2MP+2MP
Front Camera  25 MP 16 MP 20 MP
Battery
Charging 
 5000mAh
18W wired
15W wireless charging
 4510mAh
30W wired
30W wireless charging
 4780mAh
30W wired
30W wireless charging
Price 
 ₹ 74,999
(12+256GB)
 ₹ 54,999 (8+128GB)
 ₹ 59,999 (12+256GB)

 ₹ 49,999
(8+128GB)


Aisey hi aur gadgets ke details aur comparison ke liye regular visit karein Phonepur

For unknown facts visit Factsaver

1 comment: