Breaking

Saturday 16 May 2020

Mi True Wireless Earphones 2 full Specification | Mi True Wireless Earphones vs Realme Buds Air

mi-wireless-true-earphones

Mi ne aakhir India me apna wireless earphone la hi diya, abtak ye sare wireless earphones China me hi aa rahe the. Yaha Mi True Wireless Earphones 2 ko Realme Earbuds se kadi takkar milne wali hai. (full comparison below) Mi True Wireless Earphones 2 Mi 10 aur Mi Box 4K ke sath launch kiya gya.

Design

Company ka dawa hai ki usne Indian market ke liye usne Mi True Wireless Earphones 2 me composite diaphragm 14.2mm large dynamic driver unit ka use kiya hai jo achhi sound quality aur punchy bass produce karega jaisa Indians ko pasand hai.

Specification

Mi True Wireless earphones in-ear detection aur built-in optical sensors ke sath aata hai. Iske feature me double-tap se music, call, aur voice assistant ka use kar sakte hain. In TWS earphones me instant pairing ki suvidha bhi hai. Iske noise cancellation system se aap crystal clear calls ka anand utha sakte hain. 
Mi True Wireless Earphones 2 me connectivity ke liye LHDC - (Low Latency and High Definition Audio Codec) ka use kiya gya hai jo normal SBC - (low-complexity subband codec) se 3 guna achhi sound quality deti hai.

Connectivity

Isme Bluetooth v5.0 ka support hai jise asani se kisi bhi iOS ya Android devices se connect kiya ja sakta hai. Mi True Wireless earphones me Google Assistant, Alexa, and Siri ka support milta hai.

Battery Life

Mi True Wireless Earphones 2 me 30mAh ki battery hai aur isey charging case me maujood 250mAh ki battery se phir se kayi baar charge kiya ja sakta hai. Ye earphones ek baar full charge hone par 4 hours tak chal saktey hain aur ye dubara ek ghante ke andar full charge ho jayenge. Charging case ke sath ise pura 14 hours ka battery life milta hai. 

Price and Availability

Mi True Wireless Earphones 2 ka India me price 4,499 hai. Company ne 12 May se 17 May tak iska  introductory price 3,999 rakha hai. Ye naya True Wireless Earphones Amazon, mi.com aur Mi Home stores me milenge.

Comparison

 MiTrue Wireless Earphones 2 vs Realme Buds Air quick comparison is here:
  
MiTrue Wireless Earphones 2
 
Realme Buds Air
 Driver Size 14.2mm 12mm
 Auto-Wear Detection Yes Yes
 Bluetooth V5.0 Yes Yes
 Touch Control Yes Yes
 Noise Cancellation Yes Yes
 Wireless Charging No Yes
 Battery Life (Single Charge) Up to 4 hours Up to 3 hours
 Battery Life (With Charging Case) Up to 14 hours Up to 17 hours
 Colours White White, Black, Yellow
 Price ₹4,499 ₹3,999


Aisey aur aur achhe details aur comparisons ke liye baney rahiye Phonepur ke sath.

Unknown facts ke liye visit karein Factsaver

No comments:

Post a Comment