Honor ne Honor X10 naam se ek naya smartphone launch kiya hai jiski keemat Rs. 20,000 (approx) se shuru hoti hai. Ye Black, Blue, Grey, Orange colours me available hai. Aluminium alloy se baney is phone ki thickness 8.8mm aur weight 203g hai.
Display
Honor X10 me 6.63-inch ka IPS panel display hai jiska pixel resolution 1080 x 2400 hai. Iska aspect ratio 19:5:9 aur screen to body ratio 85.02% hai.
Isme scratch resistant 2.5D curved glass screen hai jisme 90 Hz ka refresh rate milata hai.
Camera
Honor X10 ke triple rear camera setup me 40MP (RYYB sensor) ka primary rear camera aur 8MP ka secondary rear camera hai. Isme third lens 2MP ka macro lens. Ye Touch-to-focus, Phase Detection AF, Laser AF Autofocus technology ke sath aata hai. Iske rear camera ko LED flash ka support milata hai.
Selfie ke liye 16MP ka front camera hai.
Hardware and Software
Honor X10 ko HiSilicon KIRIN 820 5G chipset se power milata hai, jo 8 Cores ke sath aata hai aur 2.86 GHz par clock karta hai.
Isme 6GB/8GB RAM ke sath 64GB/128GB ka internal storage milata hai.
Ye Android 10 aur MagicUI 3.1 par kaam karta hai.
Isme in side-mounted fingerprint milata hai.
Battery ke mamle me isey 4300mAh ki lambi battery milati hai jo asani se ek din chal sakti hai.
Charging ke liye isme 22.5W ka fast charger milata hai.
Honor X10 Full Specification
Brand | Honor |
Specs Score | 67.74521 |
Chipset | Huawei HiSilicon KIRIN 820 5G |
RAM | 6GB/8GB |
Internal storage capacity | 64, 128GB |
Screen size | 6.63 |
Resolution | 1080 x 2400 |
Rear Camera | 40MP + 8MP + 2MP |
External Storage | No |
Front camera | 16MP |
Capacity | 4300mAh |
Fingerprint | It comes with a side-mounted fingerprint sensor. |
Battery | 4300mAh |
Display | 6.63-inches1080 x 2400pixels397 ppi |
Honor X10 Price
Honor X10 ka China me price ke hisab se India me ye price ho sakta hai:
- Rs 20,000 Approx. – 1899 Yuan (6+ 64GB)
- Rs 23,500 Approx. – 2199 Yuan (6+ 128GB)
- Rs 25,500 Approx. – 2399 Yuan (8 + 128GB)
Comparison
Honor ke iss mid-premium range ke smartphone ka competitor 26 May ko launch honey wale Redmi 10X ho sakta hai.
To jald hi aapko iska comparison mil jayega.
Tab tak baney rahiye #Phonepur ke sath.
For unknown facts visit Factsaver
No comments:
Post a Comment