Breaking

Thursday, 21 May 2020

Moto G8 Power Lite with Helio P35 SoC launched in India at Rs 8,999 | Full Specification and Comparison


Motorola ne India me apna naya smartphone Moto G8 Power Lite launch kiya hai. Iss naye phone ka price Rs 8,999 se shuru hoti hai. Ye 2 color variants Royal Blue, Arctic Blue me milega. Plastic se baney iss phone ki thickness 9.2mm aur weight 200 grams hai.

Display

Motorola G8 Power Lite me 6.5-inches ka display 720 x 1600 pixels resolution ke sath aata hai. Iss display me IPS panel ka use hai jiska aspect ratio 20:9  aur screen-to-body ratio 81.89% hai. Company ke anusar iske display me Capacitive, Multi-touch, Scratch resistant, Max Vision Display kai suvidha bhi hai.

Camera

Moto G8 Power Lite me  triple rear camera setup hai. Jiska primary rear camera 16 MP aur secondary rear camera 2 MP (macro). Iska teesra lens 2MP ka depth sensor hai. Ye Touch-to-focus, Phase Detection AF, Laser AF Autofocus technology ke sath aata hai. Rear camera ke support ke liye LED flash bhi hai. Selfie ke liye isme 8 MP ka front camera hai.

Hardware And Software

Moto G8 Power Lite ko MediaTek Helio P35 (MT6765) chipset se power milata hai, jo 8 Cores aur 2.3 GHz ke sath aata hai aur Android 9 par kaam karta hai.

Iss phone me 4GB RAM aur 64GB ka internal storage hai, jiska external storage aap microSD se badha saktey hain.

Security ke liye iss phone me rear-mounted fingerprint sensor milta hai.

Moto G8 Power Lite me 5000mAh ki battery hai jo asani se ek din chal sakti hai. Jisey 10W ka charging support mila hua hai.

Moto G8 Power Lite Full Specifications


Moto G8 Power Lite Price and Availability

21 May ko launch huwey Moto G8 Power Lite smartphone ka price Rs 8,999. Iska pehla sale 29 May ko 12PM  Flipkart pe hoga.

moto-g8-power-lite-sale

Comparison

 Comparison of Moto G8 Power Lite vs Realme NARZO 10A vs Redmi 8 :

  Moto G8 Power Lite Realme NARZO 10A Redmi 8
 Display 6.5" HD+, IPS LCD 6.5" HD+, IPS LCD 6.22" HD+, IPS LCD
 Processor Helio P35 Helio G70 Snapdragon 439
 Rear Camera 16 + 2 + 2 MP 12 + 2 + 2 MP 12 + 2 MP
 Front Camera 8 MP 5 MP 8 MP
 RAM 4 GB 3 GB 4 GB
 Internal Storage 64 GB 32 GB 64 GB
 Battery 5,000 mAh 5,000 mAh, 10W 5,000 mAh, 18W fast
 Starting Price 8,999 8,499 9,299






Aisey hi aur gadgets ke details aur comparison ke liye regular visit karein Phonepur

For unknown facts visit Factsaver

No comments:

Post a Comment