Breaking

Tuesday, 12 May 2020

Poco F2 Pro unveiled with S865 chipset, 6.67" Super AMOLED screen and 64MP camera | Redmi K30 Pro Full Specs, Price and Comparison

Aakhir bahut lambe intezar ke baad aa hi gaya POCO ka naya phone. F1 ke baad ise hona to chahiye tha F2 Pro khair company ne kuch to launch kiya bhale hi ye Redmi K30 Pro ka rebadging hi kyu n ho.

F1 se compare karein to F2 me bahut sare improvements huwein hain.

Display

Poco F2 Pro 6.67-inch full-screen AMOLED display aur FHD+ resolution ke sath aata hai, jiska screen to body ratio 92.7% hai.

Hardware and Software

Qualcomm’s Snapdragon 865
LiquidCool Technology 2.0 :3-layer Graphite+Garphene with large vapour chamber.
F2 Pro me Android 10 ke sath Poco Launcher 2.0, jisme Dark mode bhi hoga aur in-display fingerprint sensor wala AMOLED screen.
Poco ka dawa hai ki iss phone me 360 degree ambient light sensor, jo aapke chaaron taraf ki light ko detect karega.
Isme koi high refresh rate nahi diya gya hai bs 60Hz ka panel hai.
Gaming ke liye issey TUV Rheinland Full Eye Care certification bhi mila hai.

Jahan F1 me 64GB storage se shuruwat huyi thi wahi issbar F2 Pro me issey dooguna karke 128GB kar diya gaya hai, 256GB ka bhi option hai. Par isme microSD ka support nahi milega.
Isme 2.1 se badhakar fast UFS 3.1 storage bhi hai.
Connectivity ke liye isme Wi-Fi 6, 5G, and Super Bluetooth hai.
 POCO F2 ki battery capacity 4700mAh hai, jisey lagbhag 2 dino tak chlaya ja sakta hai. Is phone ke sath 30W ka wired fast charger milata hai jissey 63 minutes phone full charge ho jayega.

Phone ke aagey aur pichhey Corning Gorilla Glass 5 ka support hai. Isme NFC, IR blaster, aur aapka pyara 3.5mm headphone jack bhi milata hai, jo aajkal kisi bhi flagship phone me milana mushkil hai. Audio experience achha karne ke liye issey High-Res audio support bhi milata hai.

Camera

F2 Pro ko circular Quad camera camera setup milta hai, jiska primary lens 64MP ka Sony IMX686 sensor hai. Doosre sensors mein ek 5MP ka tele-macro lens, 2MP ka depth sensor, aur 13MP ka ultra-wide angle 123-degree FOV ke sath. Aap iss phone me 8K video bhi record kar saktey hain. Front me 20MP ka pop-up selfie camera hai, jissey aap slow-motion selfies le saktey hain.

POCO F2 Pro Variants and Availability

POCO F2 Pro 4-colour variants me milega.
 POCO F2 Pro abhi globally Gearbest and AliExpress pe mil raha hai. Jald hi issey baki e-retailers jaise Amazon, POCO.net, Shoppe, Lazada se bhi sell kiya jayega.

POCO F2 Pro Full Specifications

POCO F2 PRO vs Samsung S20+ vs OnePlus 8 Pro

Comparison

Here is the quick comaprison: Poco F2 Pro vs OnePlus 8 vs iQOO 3 vs Realme X50 Pro
POCO-COMPETITOR


Visit regularly for such reviews and interesting comparisons...

No comments:

Post a Comment